اردو हिंदी
Unki taswir dekh kar | Shaahi Shayari
unki taswir dekh kar

Nazm

Unki taswir dekh kar

Shakeel Badayuni

;

aaj kya hai jo mila shoKH nigahon ko qarar?
kya hua husn ki masum hayaon ka waqar

aaj kyun tum mujhe dekhe hi chale jate ho?
dafatan TuT gaya kis liye bajta hua saz

kya hue naghme wo ab kyun nahin aati aawaz
aaj honTon pe KHamoshi hi KHamoshi kyun hai?

KHub tadbir nikali hai manane ki mujhe
aatish-e-soz-e-mohabbat mein jalane ki mujhe

bhole-bhaale ho to de do mere shikwon ka jawab
tum ne kya peshtar apna na banaya mujh ko

phir yakayak na nigahon se giraya mujh ko
ye agar jhuT hai to munh se kaho chup kyun ho

tu ne ek dil ko mere dars-e-mohabbat na diya
aur phir jaan ke dagh-e-gham-e-furqat na diya

ye agar jhuT hai to munh se kaho, chup kyun ho
tum ne kya mujh se kisi qism ka wada na kiya

ye agar jhuT hai to munh se kaho, chup kyun ho?
de sake tum na mere ek bhi shikwe ka jawab

ab main samjha ki hai kya raaz-e-ba-daman-e-hijab
waqai tum ko nadamat hai jo KHamosh ho tum

ya kisi parda-e-taswir mein ru-posh ho tum!