اردو हिंदी
Umr-e-gurezan ke nam | Shaahi Shayari
umr-e-gurezan ke nam

Nazm

Umr-e-gurezan ke nam

Akhtar-ul-Iman

;

umar yun mujh se gurezan hai ki har gam pe main
is ke daman se lipaTta hun manata hun ise

wasta deta hun mahrumi o nakaami ka
dastan aabla-pai ki sunata hun ise

KHwab adhure hain jo dohraata hun un KHwabon ko
zaKHm pinhan hain jo wo zaKHm dikhata hun use

us se kahta hun tamanna ke lab-o-lahje mein
ai meri jaan meri laila-e-tabinda-jabin

sunta hun tu hai meri laila-e-tabinda-jabin
sunta hun tu hai mah o mahr se bhi baDh ke hasin

yun na ho mujh se gurezan ki abhi tak main ne
jaanna tujh ko kuja pas se dekha bhi nahin

subh uTh jata hun jab murgh azan dete hain
aur roTi ke taaqub mein nikal jata hun

sham ko Dhor palaTte hain chara-gahon se jab
shab-gizari ke liye main bhi palaT aata hun

yun na ho mujh se gurezan mera sarmaya abhi
KHwab hi KHwab hain KHwabon ke siwa kuchh bhi nahin

multawi karta raha kal pe teri did ko main