اردو हिंदी
Ulma-e-zindani | Shaahi Shayari
ulma-e-zindani

Nazm

Ulma-e-zindani

Shibli Nomani

;

masajid ki hifazat ke liye police ki hajat hai
KHuda ko aap ne mashkur farmaya inayat hai

ajab kya hai ki ab har shah-rah se ye sada aae
mujhe bhi kam se kam ek ghusl-KHane ki zarurat hai

pinhai ja rahi hain aaliman-e-din ko zanjiren
ye zewar sayyad-e-sajjad-ali ki wirasat hai

yahi das bis agar hain kushtagan-e-KHanjar-andazi
to mujh ko susti-e-bazu-e-qatil ki shikayat hai

shahidan-e-wafa ke qatra-e-KHun kaam aaenge
urus-e-masjid-e-zeba ko afshan ki zarurat hai

ajab kya hai jo nau-KHezon ne sab se pahle jaanen din
ki ye bachche hain in ko jald so jaane ki aadat hai

shahidan-e-wafa ki KHak se aai hain aawazen
ki shibli bambai mein rah ke mahrum-e-saadat hai