raushni nahin hai dur dur tak
jao mujh ko chhoD do
KHamushi hai mai-kade se tur tak
barbaton ko toD do
ye udas raat ki siyahiyan
nind aa ke Tal gai
ye mere nasib ki siyahiyan
shama kab ki jal gai
nind hai na chand hai na jam hai
pyas kya bujhaoge
zindagi ki tegh be-niyam hai
aas kya bandhaoge
aasman buland hai to kya karun
hae meri pastiyan
kash main tumhein kabhi dikha sakun
kuchh ujaD bastiyan
hasraton ka bagh bagh ujaD gaya
phul ab khilenge kya
ek ek ham-safar bichhaD gaya
dost ab milenge kya
mishalen nahin to ye charagh kyun
rah bhul jaunga
zindagi pe koi taza dagh kyun
chah bhul jaunga
raushni nahin hai dur dur tak
jao mujh ko chhoD do
KHamushi hai mai-kade se tur tak
barbaton ko toD do
Nazm
UktahaT
Qateel Shifai