ye hanDi ubalne lagi
ye miTTi ki hanDi ubalne lagi hai
ye miTTi ki diwani hanDi ubalne lagi hai
hazaron baras se meri aatma ungh mein phans gai thi
jab insan do pattharon ko ragaD kar kuhan-sal suraj ki surKH aatma ko bulane laga tha
magar tez aanch aur bahut tez bu ne jhinjhoDa to ab aankh phaDe hue
dam-ba-KHud hai
ubalne lagin sabziyan phul phal gosht dalen anaj
abhi shorbe ke khadakne ki aawaz chhai hui thi
abhi sanp-chhatri lagae hue bhap nile KHalaon ki jaanib rawan hai
wo jis ki ziyafat ki tayyariyan thin kahan hai
meri aatma jag kar chiKHti hai
ye hanDi ubalne lagi hai
ye miTTi ki hanDi ubalne lagi hai
ye miTTi ki diwani hanDi ubalne lagi hai
Nazm
Ubaal
Ameeq Hanafi