din Dhala jata hai Dhal jaega kho jaega
reg-aTi darz se dar aai hai ek zard kiran
dekh kar mez ko diwar ko almari ko
filon, kaghazon, bikhri hui tahriron ko
phir usi darz se ghabra ke nikal jaegi
aur bahar wo bhali dhup, sunahri kirnen
jo kabhi abr ke aaghosh mein chhup jati hain
kabhi peDon ke KHunuk sayon mein lahrai hain
pas hi peD pe hudhud ki khaTa-khaT khaT-khaT
aur niDhaal ungliyan kahti hain thaka-thak thak-thak
mahz abjad ki badalti hui be-his tartib
lafz hi lafz pe ehsas na arman koi
aur arman wo bhaTke hue rahi jin ke
sath sath aate hue bhut ki surat KHadshe
sard hathon se kabhi panw jakaD lete hain
aur kabhi aahani diwar uTha dete hain
main ne dekha hai kahin ghir ke jab aae baadal
chiKH uThe log ki ab khetiyan lahraengi
main ne dekhe hain tamannaon ke banjar anjam
kis tawaqqoa pe sanwarne lagi phir sochti sham
kis ki aankhon ki chamak rasta dikhlati hai
phir wahi qumquma-e-shab ki tarah KHanda-e-lab
kahe jata hai: chali aao, chali bhi aao
lekin is KHanda ke us par wahi pul ki talab
yun to main sirf tumhaara hun magar kya kije
baz majburiyan majburiyan! main jaanti hun
jaanti hun ki gae waqt ko kis ne roka
waqt aata hai guzar jata hai bas dur hi dur
ek din waqt baDe chain se so jaega
din Dhala jata hai Dhal jae ga kho jaega
Nazm
Typist
Zia Jalandhari