ab wo safar mein sath le jaane wale
bistar-band ke kaam aati hai
aur kabhi kabhi bachche apni TuTi hui
be-pahiyon ki gaDi se
use bandh dete hain
bahut din pahle
wo do dilon se bandhi thi
jab chyunTiyan dikhati thin us par
apni bazigari
munh mein ghiza dabae
idhar se udhar iThlati hui
kabhi kabhi parinde
apni apni uDanon se thak kar
us par baiTh jate the
jab ye bhigti thi
barishon mein
senkti thi bahaaron ki dhup
kabhi kabhi ye ban jati thi
rang-bi-rang ke kapDon ki algani
TuTi hui rassi se juDe
dil
ab kahan hain?
Nazm
TuTi hui rassi
Azra Abbas