main KHuda ke hathon se gir kar TuTa hua pyala hun
(jo apne bikhre hue TukDon ko
DhunDhta phirta hai)
kabhi kabhi (bahut kabhi kabhi)
koi TukDa mil kar apni TuTi hui jagah se joD banata hai
to azali taskin aur abadi sarshaari ka ehsas milta hai
jaise ki tum!
han payare! jaise tum milte ho to kuchh aisa hi lagta hai
jaise main thoDa mukammal ho gaya hun
jaise main phir se apne chaak par aa gaya hun
takmil ki is masafat mein
ek sawal bund bund mujh se rista hai
itni baDi kaenat mein
TuTe hue pyale ke TukDe kahan kahan
bikhre paDe hain
kya KHabar, kab hum apne baqi-manda TukDon ko pa saken
jaane kab hamein azali taskin mil sake
aur jaane kab KHuda ki pyas bujhe
han pyare!
hum KHuda ke hathon se gir ke TuTe hue
pyale hain!!!
Nazm
TuTe hue pyale
Anjum Saleemi