tu mera hai
tere man mein chhupe hue sab dukh mere hain
teri aankh ke aansu mere
tere labon pe nachne wali ye masum hansi bhi meri
tu mera hai
har wo jhonka
jis ke lams ko
apne jism pe tu ne bhi mahsus kiya hai
pahle mere hathon ko
chhu kar guzra tha
tere ghar ke darwaze par
dastak dene wala
har wo lamha jis mein
tujh ko apni tanhai ka
shiddat se ehsas hua tha
pahle mere ghar aaya tha
tu mera hai
tera mazi bhi mera tha
aane wali har saat bhi meri hogi
tere tapte aariz ki dopahar hai meri
sham ki tarah gahre gahre ye palkon sae hain mere
tere siyah baalon ki shab se dhup ki surat
wo subhen jo kal jagengi
meri hongi
tu mera hai
lekin tere sapnon mein bhi aate hue ye Dar lagta hai
mujh se kahin tu puchh na baiThe
kyun aae ho
mera tum se kya nata hai
Nazm
Tu mera hai
Aanis Moin