tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
surmai shaal ka Dale hue mathe pe sira
baal khole hue sandal ka lagae Tika
yun jo hansti hui tu subh ko aa jae zara
bagh-e-kashmir ke phulon ko achambha ho jae
tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
le ke angDai jo tu ghaT pe badle pahlu
chalta phirta nazar aa jae nadi par jadu
jhuk ke munh apna jo ganga mein zara dekh le tu
nithre pani ka maza aur bhi miTha ho jae
tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
subh ke rang ne baKHsha hai wo mukhDa tujh ko
sham ki chhanw ne saunpa hai wo joDa tujh ko
ki kabhi pas se dekhe jo himala tujh ko
is tere qad ki qasam aur bhi uncha ho jae
tu agar sair ko nikle to ujala ho jae
Nazm
Tu agar sair ko nikle
Josh Malihabadi