tumhaare liye sambhaal kar rakkha tha
zamin ki kashish se bahar ek aasman
ek ghoDe ki piTh
aur ek saDak jis par
dhup chamkili
barish albeli hoti hai
ek misra likha tha tumhaare liye
man ki miTTi mein daba kar rakhi thi
tumhaare nam ki konpal
tumhaare liye bachai thi
lahu ki lali
ratjage
aqidon ki shikastagi
aag ki lapTen ek hath mein
ek mein aab-e-pak
ek aankh sharmili
ek aankh bebak
kashti ke taKHte
aur shauq ka mawwaj dariya
shahad duniya ko banT diya
bacha kar rakha apna mom
tum us ki baati hotin
hum jalte sari raat
tum ne chuna
sone ka sindur
chandi ki changiri
palang naqshin
puKHta chhat
pakki diwaren
pakka ghaDa
uthla kuan
pani jaisa Thahar gain tum
hawa ke jaisa bikhar gaya main
Nazm
Tumhaare liye
Khurshid Akram