اردو हिंदी
Tum to bas lashen uThane ke liye zinda ho | Shaahi Shayari
tum to bas lashen uThane ke liye zinda ho

Nazm

Tum to bas lashen uThane ke liye zinda ho

Khalid Irfan

;

tum ko nobel ki zarurat hi nahin hai baba
koi eazaz koi taKHt koi taj-e-shahi

koi tamgha nahin duniya mein tumhaare qad ka
tum ne is mulk ke logon pe hukumat ki hai

tum ne KHidmat nahin ki tum ne ibaadat ki hai
koi masnad bhi tumhaare liye tayyar nahin

tum kisi aur sataish ke bhi haqdar nahin
lekin aati hai kahin se ye sada-e-bar-haq

jhilmilati hui aankhon ki nami mein tum ho
sab ke dukh-dard ke sathi ho ghami mein tum ho

sab ki KHushiyon mein ho maujud dukhon mein tum ho
sab ki sanson mein mahakte ho dilon mein tum ho

isi KHidmat mein hai poshida tumhaara nobel
tum yahan KHak-nashinon ke numainda ho

sirf bewaon yatimon ke liye kaam karo
tum to bas lashen uThane ke liye zinda ho