tum ne likkha hai mere KHat mujhe wapas kar do
Dar gain husn-e-dil-awez ki ruswai se
main na kahta tha ki tum mujh se mohabbat na karo
yun na khelo mere jazbaat ki ranai se
sab samajhte the hamesha mujhe jaan-e-mahfil
ab mera haal to puchho meri tanhai se
tum nai bazm saja logi tumhaara kya hai
tumhein DhunDengi kahan meri sulagti raaten
bhul hi jaogi do chaar dinon mein tum to
do dhaDakte hue be-tab dilon ki baaten
main kahan jaunga mahrumi-e-dil ko le kar
phuT kar roengi jis waqt bhari barsaten
kash kuchh pyar ka anjam to socha hota
chhin li meri jawani se jawani tum ne
main na kahta tha ki tum mujh se mohabbat na karo
lakh samjhaya magar ek na mani tum ne
tum na mano to bhala kaun kahe kaun sune
pyar puja hai parastish hai tijarat to nahin
sone chandi ke liye ishq ko Thukra dena
khel ho sakta hai meayar-e-mohabbat to nahin
tum zar-o-sim ki mizan mein tul sakti ho
pyar bikta nahin chahat ka koi mol nahin
is se pahle ki mere ishq par ilzam dharo
dekh lo husn ki fitrat mein to kuchh jhol nahin
apne hi likkhe hue chand KHaton ki KHatir
mujh se KHaif hi nahin KHud se bhi bezar ho tum
kashti-e-husn ki TuTi hui patwar ho tum
tum ho KHud apne hi ehsas ki Thukrai hui
apne anjam se sahmi hui ghabrai hui
kis liye aaj nazar aati ho khoi khoi
khelne hi ki tamanna thi to mujh se kahtin
tumhein bazar se la deta khilauna koi
aaj ki baat nahin baat bahut der ki hai
main ne samjha tha meri ruh ki aawaz ho tum
nashsha-e-husn ki ek lahar ho machli hui lahar
ek lajata hua sharmata hua raaz ho tum
tum ho wo raaz ki jis raaz ko har lamhe ne
sher-o-naghma ki fazaon mein sajae rakkha
tum ho wo raaz ki jis raaz ki ranai ko
main ne ehsas ke sine se lagae rakkha
wo lajata hua sharmata hua raaz jise
main ne apni bhi nigahon se chhupae rakkha
ji mein aata hai ki is raaz ko ruswa kar dun
kyun na har naz ko andaz ko ruswa kar dun
toD dun shoKH khanakte hue gajron ka ghurur
mast pazeb ki aawaz ko ruswa kar dun
ji mein aata hai ki main bhi tumhein badnam karun
tumhein badnam karun aur sar-e-am karo
aaKHir insan hun main bhi koi patthar to nahin
main bhi sine mein dhaDakta hua dil rakhta hun
mujh ko bhi pyar se KHwabon se tumhaari hi tarah
mujh ko bhi apni jawan-sal umangen hain aziz
meri fitrat ko bhi hai ashk-o-tabassum mein tamiz
main ne socha hai ki main bhi tumhein badnam karun
lekin afsos ki ye mujh se nahin ho sakta
tum ne samjha na mohabbat ke ishaaron ka mizaj
tum ne dekhi na dhaDakte hue jazbon ki sarisht
mere wijdan ne taKHliq kiya tha jis ko
tum ne KHud aap jalaya hai wo KHwabon ka bahisht
tum ne jis tarah jalaya hai rulaya hai mujhe
aaj kyun main bhi usi tarah rulaun na tumhein
dekh paengi na jis ruKH ko tumhaari aankhen
aaj taswir ka wo ruKH bhi dikhaun na tumhein?
kash tum ne kabhi socha kabhi samjha hota
main ne kya kuchh na kiya husn ki azmat ke liye
kaun se dukh na sahe kaun se tane na sune
fikr o ehsas ke shadab gulistanon se
tum ne kaliyan hi chunin main ne to kanTe bhi chune
main hi begana raha apni haqiqat se magar
tum ne haalat ke unwan ko pahchan liya
apne bahke hue jazbaat ki taskin ke liye
tum ne munh-zor jawani ka kaha man liya
tum ne pur-josh riwayat ki rau mein bah kar
kar diya gardish-e-dauran ke hawale mujh ko
kaun ab chand sitaron mein mujhe le jae
kaun ab zehn ki zulmat se nikale mujh ko
ishq aur husn ko badnam kare kya mani
ye to wo dagh hai kirdar ki peshani par
waqt sadiyon jise roe to nahin dho sakta
kaun puchhega bhala mujh se mere dil ki murad
kitna gahra hai mohabbat ke taqazon ka tazad
main to kahta hun ki tum pyar se jholi bhar do
tum ne likkha hai mere KHat mujhe wapas kar do
ab jo chaho wo karo rahm-o-karam ho ki sitam
ab nahin tarz-e-taghaful ka mere ishq ko gham
shauq se meri tamannaon ki barbaadi ho
kuchh bhi ho tum mere ehsas ki shahzadi ho
Nazm
Tumne likkha hai
Prem Warbartani