tum nahin aae the jab tab bhi to maujud the tum
aankh mein nur ki aur dil mein lahu ki surat
dard ki lau ki tarah pyar ki KHushbu ki tarah
bewafa wadon ki dildari ka andaz liye
tum nahin aae the jab tab bhi to tum aae the
raat ke sine mein mahtab ke KHanjar ki tarah
subh ke hath mein KHurshid ke saghar ki tarah
shaKH-e-KHun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah
tum nahin aaoge jab tab bhi to tum aaoge
yaad ki tarah dhaDakte hue dil ki surat
gham ke paimana-e-sar-shaar ko chhalkate hue
barg-ha-e-lab-o-ruKHsar ko mahkate hue
dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue
zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang
shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang
roz laegi saba ku-e-sabahat se payam
roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq
aao aane ki karen baaten ki tum aae ho
ab tum aae ho to main kaun si shai nazr karo
ki mere pas ba-juz mehr o wafa kuchh bhi nahin
ek KHun-gashta tamanna ke siwa kuchh bhi nahin
Nazm
Tum nahin aae the jab
Ali Sardar Jafri