rail guzri
dandanati
chiKH barmati
ek humakta muskuraata phul thame
hath ki halki si jumbish
(salam aaKHiri)
chaquon ki dhaar peshani mein dhans kar rah gai
roz o shab mamul ke sab saebanon mein daraDen paD gain
phan uThae pTriyon ke nag bal khane lage
surKH angare bujhe
sabz zahri jhanDiyan lahra gain
khaulta jalta lahu jamne laga
os ummidon pe jaise paD gai
tez-rau pahiye mere sine se guzre
aur hamesha ke liye jaise signal gir gaya
yaad ki andhi surangi aankh
ab ek raushni ka daera tha
chilchilati raushni
jaise indhan bis barson ka yakayak jal uThe
tum agar rukte
to mein is raushni ke daere ko tham leta
aahani bhaTTi mein apna sab asasa jhonk deta
aur hum is raushni mein
apni tahriron ke wo alfaz paDh lete
jo meri lauh par mahfuz hain
ek katbe ki tarah se aaj bhi mahfuz hain
tum agar rukte
to main tum ko dikhata
al-widai siTiyon ki chiKH sun kar
har taraf mahshar bapa hai
mere andar marne wala hai
ek aalam jag uTha hai
kis qayamat ki ghaDi hai
tum agar rukte
to main iqbaal karta
apne hathon aap-apne qatl ka iqbaal karta
tum agar rukte!
Nazm
Tum agar rukte
Qazi Saleem