is se pahle ki shab-e-mah ke ThanDe sae
garmi-e-subh-e-daraKHshan se pighal kar rah jaen
is se pahle ki sitaron pe ujalon ki ghaTa chha jae
is se pahle ki ye shabnam ke guhar-ha-e-latif
nazr-e-KHurshid-e-zar-afshan ho jaen
is se pahle ki charaghon ke chamakte moti
sadaf-e-nur-e-sahar mein kho jaen
is se pahle ki shab-e-hijr ka aazar ho kuchh aur siwa
is se pahle ki KHushi gham se badal kar rah jae
tum agar chaho to aa sakte ho
jawedan zist ke lamhon ko bana sakte ho
Nazm
Tum agar chaho to
Amjad Najmi