to aisa kyun nahin kahte
ki ye sapne hi mere karb ke zamin hain un ke hi sabab se main
jhulaste reg-zaron mein barahna-pa bhaTakta hun
inhi parchhaiyon ko jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha
maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai
yahi wo zahr hai jis ne
mere KHun ke namak ko nim ke ras mein badal Dala
to aisa kyun nahin kahte
ki main sapnon ke is arzang ko
suraj ki jalti bhaTTiyon mein phenk dun sab kuchh jala Dalun
kisi langar-shikasta naw ki manind dhaare par rawan ho jaun
har ek mauj ke hamrah Dubun aur ubhar aaun
to aisa kyun na kar pae
wo jo kuchh mera hissa tha
mera wirsa tha
mujh se chhin lete aur mujhe jangal ke behis peD ki manind uga dete
jo har mausam ke hamrah apna pairahan badalta hai
hawa ke jhonke dete hain ijazat jis taraf baDhne ki baDhta hai
zamin ki narmiyon ko dekh kar apni jaDen paiwast karta hai
magar tum ye na kar pae
mera wirsa na mujh se chhin pae aur wo pahla shaKHs jis ne sab se pahla KHwab dekha tha
abhi tak mujh mein zinda hai
to aisa kyun nahin karte
unhi sapnon unhi parchhaiyon ko jism de Dalo
jinhen ek jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha
maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai
Nazm
To aisa kyun nahin karte
Bashar Nawaz