اردو हिंदी
Tishna-e-azali | Shaahi Shayari
tishna-e-azali

Nazm

Tishna-e-azali

Hameed Almas

;

sab mein shamil hai
lab-e-sahil pe ujle sang-rezo ka wajud

jagmagati si jabinon se
ye andaza bhi kar sakte hain

wo mutmain se hain magar
tishnagi ka karb

honTon se bayan hota nahin
aati jati mauj-e-dariya

ye samajhti hai hamesha
sang-reze bhi hain us se faiz-yab

jab bhi chhuTi sang-rezo se rida-e-ehtiyat
un ki saf par

dhup ka hamla hua
tishnagi ka majra ruswa hua