main teri yaad ko sine se lagae guzra
ajnabi shahr ki mashghul guzar gahon se
bewafai ki tarah phaili hui rahon se
nai tahzib ke aabaad bayabanon se
dast-e-mazdur pe hanste hue aiwanon se
main teri yaad ko sine se lagae guzra
ganw ki do-pahri dhup ke sannaTon se
KHushk nahron ke kinaron pe thaki chhanw se
apne dil ki tarah roi hui pag-DanDi se
main teri yaad ko sine se lagae pahuncha
bastiyan chhoD ke tarse hue viranon mein
talKHi-e--dahr sameTe hue mai-KHanon mein
KHun-e-insan pe palte hue insanon mein
jaane pahchane hue logon mein an-jaanon mein
main teri yaad ko sine se lagae pahuncha
apne ahbab tere gham ke parastaron mein
apni ruThi hui taqdir ke gham-KHwaron mein
apne ham-manzil-o-ham-rasta fankaron mein
aur fankar ki sanson ke KHaridaron mein
main teri yaad ko sine se lagae pahuncha
ye samajh kar ki koi aankh idhar uTThegi
meri maghmum nigahi ko mujhe samjhegi
lekin a dost ye duniya hai yahan tera gham
ek insan ko taskin bhi de sakta hai
ek insan ka aaram bhi le sakta hai
KHun mein Dubi hui tahrir bhi ban sakta hai
ek fankar ki taqdir bhi ban sakta hai
sari duniya ke magar kaam nahin aa sakta
sab ke honTon pe tera nam nahin aa sakta
Nazm
Teri yaad
Waseem Barelvi