tere KHwabon ke darichon se haTa kar parde
kyun jagaun teri KHwabida tamannaon ko?
mere arman sisakte rahen mere dil mein
aur KHabar tak na mile shahr ki salmaon ko
hae wo mere KHayalon ki daraKHshan wadi
jaane kyun chand sitaron ki tamanna ki thi
uTh gai hogi yunhi aankh meri teri taraf
log kahte hain sahaaron ki tamanna ki thi
is se pahle na KHabar thi mujhe meri mahbub!
zulf ke KHam mein siyah mar chhupe hote hain
jin ko sab kahte hain gulshan ki mahakti kaliyan
un ke daman mein bhi kuchh KHar chhupe hote hain
kuchh nahin is ke siwa aur tamanna meri!
waqt ke sath har ek zaKHm ko bhar jaane de
phir main samjhunga meri haar meri haar nahin
chand lamhon ki hai ye zist guzar jaane de
tere KHwabon ke darichon se haTa kar parde
kyun jagaun teri KHwabida tamannaon ko
Nazm
Teri yaad meri bhul
Sabir Dutt