dard-e-ulfat yunhi tha rag rag mein sari hae hae
kyun lagaya phir wafa ka zaKHm-e-kari hae hae
tujh sa be-fikr aur kisi ki gham-gusari hae hae
dard se mere ho tujh ko be-qarari hae hae
kya hui zalim teri ghaflat shiari? hae hae
kuchh hansi tha shirkat ranj-o-alam ka hausla
aah ye ek KHugar naz-o-niam ka hausla
kyun kiya be-quwwat-e-dil is sitam ka hausla
tere dil mein gar na tha aashob-e-gham ka hausla
tu ne phir kyun ki thi meri gham-gusari hae hae
tha mera gham-KHwar ban kar phulna phalna muhaal
kaT gaya aaKHir na tera naKHl-e-umr ai naunihaal
aah nadan kyun na socha meri ulfat ka maal
kyun meri gham-KHwargi ka tujh ko aaya tha KHayal
dushmani apni thi meri dost-dari hae hae
jite ji hum tum rahe gar yak-dil-o-yakja to kya
ta-dam-e-aKHir bhara gar dam mohabbat ka to kya
umr bhar paiman raha minnat-kash ifa to kya
umr bhar ka tu ne paiman-e-wafa bandha to kya
umr ko bhi to nahin hai paedari hae hae
chhoD kar zindan mein mujh ko tu ne rah-e-KHuld li
tere zaKHm-e-nawak-e-furqat se main jiti bachi
ho chuki bas e'timad-e-dil ki sheKHi kirkiri
KHak mein namus-e-paiman-e-mohabbat mil gai
uTh gai duniya se rah-rau rasm yari hae hae
wa daregha tha dil-e-bimar-e-gham ko aasra
aab-e-tegh-e-naz se ek din mujhe hogi shifa
hasrat ai shauq-e-jarahat! ruKHsat ai zauq-e-fana
hath hi tegh-azma ka kaam se jata raha
dil pe ek lagne na paya zaKHm-e-kari hae hae
gham hare karti hai fasl-e-ashk-bar-e-barshgal
misl-e-qismat tar hain lail-o-nahaar-e-barshgal
kab khulega hae ye ab saya-dar-e-barshgal
kaise kaTun hae main shab-ha-e-tar-e-barshigal
hai nazar KHu-karda-e-aKHtar-shumari hae hae
ek din wo bhi tha jab dam bhar ki furqat thi muhaal
aah ek din ye bhi hai jab runuma hai infial
ye alam kab tak sahun kab tak na ho jina wabaal
gosh mahjur-e-payam o chashm mahrum-e-jamal
ek dil tis par ye na ummid-wari hae hae
Nazm
Tazmin bar-ashaar-e-ghaalib
Ze Khe Sheen