apni fitrat ki bulandi pe mujhe naz hai kab
han teri past-nigahi se gila hai mujh ko
tu gira degi mujhe apni nazar se warna
tere qadmon pe to sajda bhi rawa hai mujh ko
tu ne har aan badalti hui is duniya mein
meri paindagi-e-gham ko to dekha hota
kaliyan be-zar hain shabnam ke talawwun se magar
tu ne is dida-e-pur-nam ko to dekha hota
hae jalti hui hasrat ye teri aankhon mein
kahin mil jae mohabbat ka sahaara tujh ko
apni pasti ka bhi ehsas phir itna ehsas
ki nahin meri mohabbat bhi gawara tujh ko
aur ye zard se ruKHsar ye ashkon ki qatar
mujh se be-zar meri arz-e-wafa se be-zar
Nazm
Tawaif
Moin Ahsan Jazbi