jab koi qarz sadaqat ka chukane ke liye
zahr ka durd-e-tah-e-jam bhi pi leta hai
apna sar hans ke kaTa deta hai
zindagi jabr sahi jabr-e-musalsal hi sahi
sahta hai
aur is jabr ko sau rang ata karta hai
harf ka saut ka surat ka fusun-kari ka
main use dekh ke chupke se khisak jata hun
ye to main KHud hun wo ahmaq jis ki
apni ruswai mein taskin-e-ana hoti hai
Nazm
Taskin-e-ana
Sulaiman Areeb