aaj kis aalam mein hain ahbab mere
aankh mein tab-o-tab o nam kuchh nahin
dil kisi refrigerator mein rakhe honge kahin
jism hazir hain yahan ghaeb dimagh
muskurahaT: ek lipstick KHanda-peshani naqab
ruh: burqa-posh: aankhen be-hijab!
kis liye mujh ko pareshan kar rahe hain KHwab mere
nind ke zaKHmi kaf-e-pa se Tapakta hai KHud apna hi lahu
KHwab mein phulon se aati hai KHud apne KHun ki bu
be-amal hun (KHwab mein hun) phir bhi jari (ek benam-o-nishan si) justuju
darmiyan se is zamin ko chirta jata hai chaak-e-irtiqa
maut aa kar khaTkhaTati rahti hai dar aankh ka
kis liye khinchte chale jate hain ye aasab mere
ahd-e-nau ke kis mughanni ka junun
tarsaptak main unhen karta hun tune
kaun in taron ko itna kas raha hai
TuT jaenge to is naghme se bhi mahrum ho jaega saz
jis mein shamil hai shikast-e-zat ki aawaz
Nazm
Tashannuj
Ameeq Hanafi