chilmanon ke us taraf jagmagati zindagi
samne aa kar naqab-e-ruKH ko sarkati hui
mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le
Dubte tare numud-e-subh se sahme hue
malgaji dhundlahaTon mein jhilmila kar kho gae
jagti aankhon mein ek guzri hui duniya liye
is taraf main hun mere mazi ki baDhti dhund hai
dhundle dhundle naqsh la-hasil tamannaon ki rakh
raushni ke daere se dur yaadon ka KHumar
ek taraf jalti fasilon se dhuan uThta hua
ek taraf aasudgi-e-arzu ke narm KHwab
KHam-ba-KHam rahen safar ki gard mein khoi hui
jalti aankhon mein sunahre KHwab-zaron ke sarab
roz-o-shab ke jalte-bujhte daeron ko toD kar
aarzu ki wusaten sahra-ba-sahra be-kanar
na-tarashida chaTanen rasta roke hue
ek sada-e-ba-gasht apni nawaon ka jawab
ashk-ha-e-subh-gahi se sahar khilti hui
raat ki tarikiyan dil ke lahu se lala-zar
ek soz-e-arzu anfas mein rachta hua
ek mubham dard dil ki KHalwaton mein be-qarar
bas yahi subhen yahi shamen yahi be-nam dard
umr bhar ki jidd-o-johd-e-shauq ka hasil rahe
tira-baKHt aankhon mein aise KHwab ke paikar base
jin se munh moDun to har aasaish-e-duniya mile
chilmanon ke is taraf se jagmagati zindagi
samne aa kar naqab-e-ruKH ko sarkati hui
mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le
Nazm
Targhib
Mahmood Ayaz