sai-e-baqa-e-shaukat-e-askandari ki KHair
mahaul-e-KHisht-bar mein shishagari ki KHair
bezar hai kunisht-o-kalisa se ek jahan
saudagaran-e-din ki saudagari ki KHair
faqa-kashon ke KHun mein hai josh-e-intiqam
sarmaya ke fareb jahan-parwari ki KHair
tabqat mubtazil mein hai tanzim ki numud
shahanshahon ke zabta-e-KHud-sari ki KHair
ehsas baDh raha hai huquq-e-hayat ka
paidaeshi huquq sitam-parwari ki KHair
iblis KHanda-zan hai mazahib ki lash par
paighambara-e-dahr ki paighambari ki KHair
sehn-e-jahan mein raqs-kunan hain tabahiyan
aaqa-e-hast-o-bud ki sanat-gari ki KHair
shoale lapak rahe hain jahannam ki god se
bagh-e-jinan mein jalwa-e-hur-o-pari ki KHair
insan ulaT raha hai ruKH-e-zist se naqab
mazhab ke ehtimam fusun-parwari ki KHair
ilhad kar raha hai murattab jahan-e-nau
dair-o-haram ke hila-e-ghaarat-gari ki KHair
Nazm
Tarah-e-nau
Sahir Ludhianvi