اردو हिंदी
Tanha | Shaahi Shayari
tanha

Nazm

Tanha

Mustafa Zaidi

;

main wahi qatra-e-be-bahr wahi dasht-e-naward
apne kandhon pe uThae hue sahra ka tilism

apne sine mein chhupae hue sailab ka dard
TuT kar rishta-e-tasbih se aa nikla hun

dil ki dhaDkan mein dabae hue aamal ki fard
mere daman mein baraste hue lamhon ka KHarosh

meri palkon pe bagulon ki uDai hui gard
lakh lahron se uTha hai meri fitrat ka KHamir

lakh qulzum mere sine mein dawan rahte hain
din ko kirnen mere afkar ka munh dhoti hain

shab ko tare meri jaanib nigran rahte hain
mere mathe pe jhalakta hai nadamat ban kar

ibn-e-maryam ka wo jalwa jo kalisa mein nahin
randa-e-mauj bhi hain mujrim-e-zarraat bhi hain

mera qissa kisi afsana-e-dariya mein nahin
meri tariKH kisi safha-e-sahra mein nahin