اردو हिंदी
Tamasha-gah-e-lala-zar | Shaahi Shayari
tamasha-gah-e-lala-zar

Nazm

Tamasha-gah-e-lala-zar

Noon Meem Rashid

;

tamasha-gah-e-lala-zar
tiyatar pe meri nigahen jami thin

mere kan music ke zer-o-bam par lage the
magar mera dil phir bhi karta raha tha

arab aur ajam ke ghamon ka shumar
tamasha-gah-e-lala-zar!

tamasha-gah-e-lala-zar
ab iran kahan hai

ye ishqi ka shahkar iran ki rustaKHez
ab iran hai ek nauhagar pir-zal

hai muddat se afsurda jis ka jamal
madain ki viraniyon par ajam ashk-rez

wo nau-sherwan aur zar-dusht aur dariyush
wo farhad shirin wo kai-KHusro o kai-qabaad

hum ek dastan hain wo kirdar the dastan ke!
hum ek karwan hain wo salar the karwan ke!

tah-e-KHak jin ke mazar
tamasha-gah-e-lala-zar!

tamasha-gah-e-lala-zar
magar nauha-KHwani ki ye sargirani kahan tak?

ki manzil hai dushwar gham se gham-e-jawedan tak!
wo sab the kushada-dil o hosh-mand o parastar-e-rabb-e-karim

wo sab KHair ke rah-dan rah-shanas
hamein aaj mohsin-kush o na-sipas

wo shahanshahan-e-azim
wo pindar-e-rafta ka jah-o-jalal-e-qadim

hamari hazimat ke sab be-baha tar-o-pu the
fana un ki taqdir hum un ki taqdir ke nauhagar hain

usi ki tamanna mein phir sogwar
tamasha-gah-e-lala-zar!

tamasha-gah-e-lala-zar
urus-e-jawan sal-e-farda hijabon mein mastur

gurisna nigah zud-karon se ranjur
magar ab hamare nae KHwab kabus-e-mazi nahin hain

hamare nae KHwab hain aadam-e-nau ke KHwab
jahan-e-tag-o-dau ke KHwab

jahan-e-tag-o-dau madain nahin
kaKH-e-faghfur-o-kisra nahin

ye us aadam-e-nau ka maawa nahin
nai bastiyan aur nae shahryar

tamasha-gah-e-lala-zar!