raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi
raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi
chand ki bikhri hui sard shuaon se alag
aur khambon ki sulagti hui aankhon se alag
ek nazar thi jo KHalaon mein bhaTakti hi rahi
silwaTen soch ki gahri huin gahri ho kar
mere mahaul pe chhai gain chhati hi gain
meri be-tab nazar charKH se Takra hi gai
aur Takrai to phir charKH ki ranai gai
gardishen chand sitaron ki nazar aane lagin
gardishen tez huin, tez huin, tez huin
aur phir tez, bahut tez, bahut tez huin
jaise ye gardishen karte hue tare, ye chand
kurra-e-arz se yak-bargi Takraenge
aur phir gardishen karta hua har ek tara
az-sar-e-nau kura-e-arz bana hi lega
aur phir gardishen karta hua ye zard sa chand
ek ufuq apne liye aur saja hi lega
kurra-e-arz jahan maut na kahish hogi
ek ufuq, jis mein tapish aur na sozish hogi
tez-tar hoti gain gardishen sayyaron ki
nachta hi raha mehwar pe wo pila mahtab
aur har samt isi gardish-e-paiham ka KHarosh
aur phir rah na gaya raqs ke andaz mein josh
ek parwana gira sham-e-fasurda ke qarib
ek tare ne kaha TuT ke, lo main to chala
aur phir gardishen karta hua
aur phir main tha wahi marta sulagta mahaul
raqs karte hue sayyaron ki sai-e-nakaam
raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi
Nazm
Talabgar mard tha
Nazish Partap Gadhi