اردو हिंदी
Talash fareb-e-mutlaq ki | Shaahi Shayari
talash fareb-e-mutlaq ki

Nazm

Talash fareb-e-mutlaq ki

Mohammad Aazam

;

fahisha aurto
kya koi

tum mein aisa nahin
jo mujhe

is tarah chhal sake
main nashat-e-guman ke surur-e-ajab-jawedan ko liye

narm aaghosh se
saKHt aaghosh tak

ek bar-haq safar karun
fahisha aurto

wo qarib-e-musalsal ki daulat kahan se mile
kya koi

tum mein aisa nahin
mujh se jo

jhuT ko sungh lene ki KHu chhin le
justuju chhin le