ek din jannat mein bola ek shahid-e-haq-shanas
maslak-e-haq par nahin hai meri jannat ki asas
qatil o zalim dar-e-jannat pe manDlane lage
arz-e-pakistan se kitne shahid aane lage
samne jannat ke ye jo KHema-e-arwah hai
ye inhin jali shahidon ki iqamat-gah hai
ye shahid-e-haq samajh baiThe hain apne-ap ko
main to jannat mein na aane dunga in ke bap ko
ye agar jannat mein daKHil ho gae sirf ek bar
phir kahan jaenge hum jaise shahid-e-haq-shiar
dudh ki naharon mein kuchh pani mila denge ye log
shahad ki naddi ko Theke par uTha denge ye log
qaumiyat ka masala phir se jaga denge ye log
meri jannat ke kai sube bana denge ye log
dahshaten jannat mein le aaenge pakistan se
hur ko ighwa kara lenge kisi ghilman se
aaie main in shahidon ko milaun aap se
aap thoDi dur hain jannat ke bus-stop se
aap se miliye ye dushman ke bahut hamdard hain
aap shaklan hi nahin naslan bhi dahshat-gard hain
dahshaten ek policy hain jis ke maker aap hain
tisri duniya ke pahle high-jecker aap hain
ye shahid-e-ba-wafa hain marte the bol ke
rail ki paTri ke purze darmiyan se khol ke
lamha-e-Daka-zani sine pe goli khai thi
aap ne ek bank ke andar shahadat pai thi
aap pakistan ke ek rahbar-e-mumtaz hain
sainkaDon ruhen yahan bhi in ki ham-awaz hain
phir shahid-e-haq ye bola ai KHuda-e-zul-jalal
aalam-e-arwah se jali shahidon ko nikal
qadir-e-mutlaq hai tu in ko dobara age de
in shahidon ko tu duniya hi mein wapas bhej de
Nazm
TaKHrib-karon ki shahadat
Khalid Irfan