اردو हिंदी
Tajdid | Shaahi Shayari
tajdid

Nazm

Tajdid

Ameeq Hanafi

;

sun rahi ho inT patthar ke sarakne ki sada
TuTi chhat par baiTh kar aakash ko takti ho kya

is khanDar ko chhoD kar aao chalen maidan mein
us taraf wo jhaDiyon ka jhunD hai hujla-numa

aao us mein chal ke hum ek dusre ko dekh len
aur dekhen pattharon ke yug mein kaisa pyar tha

ghar bane bigDe, base ujDe nagar har daur mein
ek ye jangal hi aisa hai ki jiyun-ka-tyun raha

aao chal kar jhaDiyon ke jhunD mein so jaen hum
phir se pane ke liye ek duje mein kho jaen hum