is sarae mein musafir ka qayam
ek lamha be-yaqini ka
jis ko jannat ya jahannam jo bhi kah lo
kya kisi pe inhisar
har koi apne amal ka zimmedar
bhul kar bhi ye na socho
ki muqaddar bhi banata hai koi
warna jo hai samne chup-chap dekho
kya bhala hai kya bura
jab talak sahne ki taqat hai saho
haal-e-dil apna kisi se mat kaho
ab to rasman hi zaban par pursish-e-ahwal hai
dam dilasa pyar hamdardi KHulus
aaise sab alfaz sine ki lughat se uD chuke hain
is sarae mein musafir ka qayam
maut ke khaTke se mar jaane ka nam!
Nazm
Tajassus
Akhtar Rahi