musafir hue phir ek andhe safar ke
pata tai-shuda mausamon ka
kahin kho gaya hai
baDe shahr ke ek club mein,
diwali manate hue
kal kisi ne kaha tha
cinema ke parde
kai tij tyauhaar mele sameTe hue hain
tumhein fikr kaisi
ye kyun rang chehre ka phika paDa hai
tumhin sust qadmon pe nadim hue the
tumhin ko hawas thi
ki raftar qabu mein kar len KHalaen khangalen
gae mausamon ka janaza uThae
kahan ja rahe ho
koi ibn-e-maryam na hath aa sakega
chalo us ko miTTi ke niche daba den
yahi aane walon ke haq mein
munasib rahega
Nazm
Tai-shuda mausam
Aashufta Changezi