baDon ko aur chhoTon ko inhin sadmat ne mara
mujhe daftar unhen college ki tatilat ne mara
kabhi sardi ki chhuTTi hai kabhi garmi ki chhuTTi hai
ye sab us ke alawa hain jo haT-dharmi ki chhuTTi hai
kabhi tatil khane ki kabhi tatil pine ki
paDhai do mahine chhuTTiyan hain das mahine ki
abhi parson to hai rangini-e-haalat ki chhuTTi
phir us ke baad pure mah hai barsat ki chhuTTi
kabhi school mein ustad ke sar-dard ki chhuTTi
hawa-e-sard chal jae to phir har fard ki chhuTTi
kabhi afsar ko thoDa sa buKHar aa jae to chhuTTi
kabhi sasural se begam ka tar aa jae to chhuTTi
kabhi Table pe rakh ke panw so jaana bhi chhuTTi hai
kabhi daftar se uTh kar gol ho jaana bhi chhuTTi hai
abhi to dard ke aasar kuchh baqi hain sine mein
abhi to bis hi naghe hue hain is mahine mein
gharaz jo tin-sau-painsaTh dinon ke goshware hain
hamare tin-sau din hain faqat painsaTh tumhaare hain
Nazm
Tatilat
Khalid Irfan