sang-e-marmar ki KHunuk banhon mein
husn-e-KHwabida ke aage meri aankhen shal hain
gung sadiyon ke tanazur mein koi bolta hai
waqt jazbe ke taraazu pe zar-o-sim-o-jawahir ki taDap taulta hai!
har nae chand pe patthar wahi sach kahte hain
usi lamhe se damak uThte mein un ke chehre
jis ki lau umr gae ek dil-e-shab-zad ko mahtab bana aai thi!
usi mahtab ki ek narm kiran
sancha-e-sang mein Dhal pai to
ishq rang-e-abadiyyat se sar-afraaz hua
kya ajab nind hai
jis ko chhu kar
jo bhi aata hai khuli aankh liye aata hai
so chuke KHwab-e-abad dekhne wale kab ke
aur zamana hai ki us KHwab ki tabir liye jag raha hai ab tak!
Nazm
Taj-mahal
Parveen Shakir