ajal, in se mil,
ki ye sada-dil
na ahl-e-salat aur na ahl-e-sharab,
na ahl-e-adab aur na ahl-e-hisab,
na ahl-e-kitab
na ahl-e-kitab aur na ahl-e-mashin
na ahle-KHala aur na ahl-e-zamin
faqat be-yaqin
ajal, in se mat kar hijab
ajal, in se mil!
baDho, tum bhi aage baDho
ajal se milo,
baDho, nau-tawangar gadao
na kashkol-e-daryuza-gardi chhupao
tumhein zindagi se koi rabt baqi nahin
ajal se hanso aur ajal ko hansao
baDho bandagan-e-zamana baDho bandagan-e-diram
ajal ye sab insan manafi hain
manafi ziyaada hain insan kam
ho in par nigah-e-karam

Nazm
Taaruf
Noon Meem Rashid