KHub pahchan lo asrar hun main
jins-e-ulfat ka talabgar hun main
ishq hi ishq hai duniya meri
fitna-e-aql se be-zar hun main
KHwab-e-ishrat mein hain arbab-e-KHirad
aur ek shair-e-bedar hun main
chheDti hai jise mizrab-e-alam
saz-e-fitrat ka wahi tar hun main
rang nazzara-e-qudrat mujh se
jaan-e-rangini-e-kohsar hun main
nashsha-e-nargis-e-KHuban mujh se
ghaza-e-ariz-o-ruKHsar hun main
aib jo hafiz o KHayyam main tha
han kuchh is ka bhi gunahgar hun main
zindagi kya hai gunah-e-adam
zindagi hai to gunahgar hun main
rashk-e-sad-hosh hai masti meri
aisi masti hai ki hushyar hun main
le ke nikla hun guhar-ha-e-suKHan
mah o anjum ka KHaridar hun main
dair o kaba mein mere hi charche
aur ruswa sar-e-bazar hun main
kufr o ilhad se nafrat hai mujhe
aur mazhab se bhi be-zar hun main
ahl-e-duniya ke liye nang sahi
raunaq-e-anjuman-e-yar hun main
ain is be-sar-o-samani mein
kya ye kam hai ki guhar-bar hun main
meri baaton mein masihai hai
log kahte hain ki bimar hun main
mujh se barham hai mizaj-e-piri
mujrim-e-shoKHi-e-guftar hun main
hur o ghilman ka yahan zikr nahin
nau-e-insan ka parastar hun main
mahfil-e-dahr pe tari hai jumud
aur warafta-e-raftar hun main
ek lapakta hua shoala hun main
ek chalti hui talwar hun main
Nazm
Taaruf
Asrar-ul-Haq Majaz