اردو हिंदी
Taaqub | Shaahi Shayari
taaqub

Nazm

Taaqub

Farooq muztar

;

shab-o-roz
jaane mujhe kyun ye ehsas hai

koi mere taaqub mein baDhta chala aa raha hai
main KHud hi in bhaari qadmon ki aawaz ke bojh

se dab raha hun
ki main apne hi dast-o-bazu mein ab lamha lamha simaTne laga hun!

main ab KHud hi mein zarra zarra bikharne laga hun!
mein ab apni hamsaegi se bhi Darne laga hun!

mein shayad! KHud apni sada ke taaqub mein chalne laga hun
ki

tashkik aur la-yaqini
ke dhundle manazir liye aankh mein

aap apne lahu ke dahakte jahannam mein
jalne laga hun!

mere hafize mein taaqub ki koi bhayanak kahani hai
mahfuz shayad!