maut apni na amal apna na jina apna
kho gaya shorish-e-giti mein qarina apna
naKHuda dur hawa tez, qarin kaam-e-nahang
waqt hai phenk de lahron mein safina apna
arsa-e-dahr ke hangame tah-e-KHawab sahi
garm rakh aatish-e-paikar se sina apna
saqiya ranj na kar jag uThegi mahfil
aur kuchh der uTha rakhte hain pina apna
besh-qimat hain ye gham-ha-e-mahabbat mat bhul
zulmat-e-yas ko mat saunp KHazina apna
Nazm
Surud
Faiz Ahmad Faiz