mere pichhe bahut pichhe
mere mazi ke lambe ghaar mein sanpon ka Dera hai
jahan pur-haul haibatnak bhuton ka basera hai
mere aage bahut aage
mera rangin mustaqbil hai ek phulon ki wadi hai
ki jis ki god mein KHwabon ki alhaD shahzadi hai
mere pichhe
andhere ghaar hain makDi ke jale hain
mere aage
sunahre KHwab hain kirnon ke haale hain
main sargarm-e-safar hun apni manzil ki taraf lekin
meri baDhti hui wahshat ka aalam koi kya jaane
ye lamhe han yahi uDte hue lamhe na hath aae
ujaD kar rah gae KHush-rang KHwabon ke sanam-KHane
main apne hi lahu ki aag mein jalta raha barson
khanakte hi rahe har bazm har mahfil mein paimane
main apne daur ka mahr-e-daraKHshan hun magar phir bhi
ye andha waqt shayad umr bhar mujh ko na pahchane
ye andha waqt shayad umr bhar mujh ko na pahchane
Nazm
Suraj ka alamiya
Prem Warbartani