baat hai to kuchh aib si 
lekin phir bhi hai 
ho gai thi mohabbat 
ek mard ko 
ek sunahri machhli se 
lahron se aTkheliyan karti 
bal khati chamchamati machhli 
bha gai thi mard ko 
TukTuki bandhe pahron 
dekhta rahta wo 
us shoKH ki aThkheliyan 
machhli ko bhi achchha lagta tha 
mard ka is tarah se nihaarna 
bandh gae donon pyar ke bandhan mein 
milan ki KHwahish fitri thi 
mard ne machhli se iltija ki 
ek bar sirf ek bar 
pani se bahar aane ki koshish karo 
mohabbat ka junun 
itna shadid tha ki 
baghair kuchh soche-samjhe 
machhli pani se bahar aa gai 
chhaT-paTa gai 
bahut bari tarah se chhaT-paTa gai 
lekin ab 
wo apne mahbub ki banhon mein thi 
mohabbat ki kaifiyat mein 
kuchh pal ko 
sari taDap sari chhaT-paTahaT jati rahi 
do badan ek jaan ho gae 
sairab ho kar mahbub ne 
mahbuba ko pani ke supurd kar diya 
baDa anokha baDa masarrat-angez 
aur baDa dardnak tha ye mel 
har bar puri taqat baTor kar 
chal paDti mahbuba 
mahbub se milne 
taDphaDati chhaT-paTati 
pyar deti pyar pati 
sairab karti sairab hoti 
aur phir lauT aati pani mein 
ek din 
machhli ko jaane kya sujhi 
us ne mard se kaha 
aaj tum aao 
main pani mein kaise aaun 
kuchh pal apne sansen rok lo 
machhli ne kaha 
sans rok lun 
yani jina rok lun 
kuchh pal jine ke liye hi to aata hun main 
tumhaare pas 
sans rok lunga to jiyunga kaise 
mard ne kaha 
machhli sakte mein thi 
ek hi pal mein: 
mard ki fitrat aur mohabbat ke 
bahami rishte ki sachchai 
us ke samne thi 
ab 
kuchh jaanne pane aur chahne ko 
baqi nahin bacha tha 
machhli ne be-kaif nigahon se 
mard ko dekha 
aur Dub gai 
be-panah gahraiyon mein 
udhar KHud se be-KHabar mard 
jine ki KHwahish liye abhi tak wahin baiTha hai 
aur soch raha hai mera qusur kya hai
        Nazm
Sunahri machhli
Deepti Mishra

