larazte badan
rang kohre mein lipTe hue
adh-mari raushni ka kafan oDh kar
maut ki sar-zamin mein ujalon pe qurban hone se pahle
bahut der tak
apne ehsas ki aanch sahte rahe
sham
nim tarik rahon pe matha ragaDti rahi
kanpti thartharaati shab-e-gham ke sanche mein Dhalne se pahle
bahut der tak
sard fanus ke pas Thahri rahi
chand
aakash ke gahre nile samundar mein taron ki indar-sabha se
bahut der tak
maut ki sarzamin par ujalon ki gul-poshiyan kar raha tha
lahad-ta-lahad koi saya na KHaka
qadam-ta-qadam manzilon ke nishan gum
makinon se KHali makanon ke dar
taKHtiyan rahne walon ke namon ki le kar
bahut der tak muntazir the magar
koi dastak na aahaT
idhar
be-zaban shahr ki tirgi mein
larazte badan
kaif-o-kam ke badalte hue zawiyon mein
ulajhte chhalakte bikharte simaTte rahe
aur kohre mein lipTe hue
shaKH-dar-shaKH raushni se guzar kar
salibon ke sae mein dam le rahe hain

Nazm
Sunahri darwaze ke bahar
Farooq Nazki