اردو हिंदी
Siyasat | Shaahi Shayari
siyasat

Nazm

Siyasat

Mansoora Ahmad

;

jab hum chhoTe chhoTe se the
ham-sae mein ek baDi bi rahti thi

gali mahle ke sab bachche us ko masi kahte the
masi ki ek ajab ada thi

gali mahle ke jis bachche par bhi us ka daw chalta
mukkon aur dhamkon se

adh-mua sa kar ke KHud chhup jati
fariyaadi bachche ki aah-o-zari san kar

rasta chalne wale ya bachche ke apne aa jate to
majma chir ke sab se pahle masi aati

rone wale bachche ko sine se lagati
shahd bhare lamhe mein kahti

mere pyare
aankh ke tare

kis ne mara
bachcha phaTi phaTi aankhon se

masi ko takta rah jata
aur qissa ThanDa ho jata

hum sab bachche
na-samjhi mein

masi se nafrat karte the
murakh the na

masi ke asli qad ko pahchan na pae
ab ja kar ye samajh sake hain

ghar ghar bartan manjhne wali apni masi
kitni baDi siyasat-dan thi