ek dal aur itne bar-e-garan
unghte peD sar-nigun galiyan
muzmahil nur muzmahil KHushiyan
an-ginat KHwab an-ginat arman
be-mahak phul adh-khili kaliyan
baadshahon ka qissa-e-man-o-tu
tera sikkon ka tira-tar jadu
surKH tarikiyan siyah lahu
muntashir raat muntashir gesu
be-asar aah be-asar aansu
zehn ki qabr dil ka virana
fikr-e-rozi talash-e-mai-KHana
koi ba-aql koi diwana
meri tahqiq us ka afsana
zard batti udas parwana
al-gharaz ek na ek gham-e-gul-o-KHar
falsafe ka KHumar ishq ka bar
dil ko ek subh-o-sham ka aazar
hasrat-e-sulh-o-hasrat-e-paikar
said-e-iblis-o-kushta-e-yazdan
Nazm
Siyah lahu
Mustafa Zaidi