siyah chand ke TukDon ko main chaba jaun
safed sayon ke chehron se tirgi Tapke
udas raat ke bichchhu pahaD chaDh jaen
hawa ke zine se tanhaiyan utarne lagen
sajae jaen chhaton par mari hui aanhken
palang ret ke KHwabon ke sath so jae
kasi ke rone ki aawaz aae suraj se
sitare ghaar ki aanton mein TuTte jaen
main apni qainchi se kaghaz ka aasman kaTun
nahif waqt ki ranon pe KHwahishen rengen
lahu ka zaiqa danton mein muskurane lage
agar ye hath meri piTh par chipak jaen
siyah chand ke TukDon ko main chaba jaun
Nazm
Siyah chand ke TukDon ko main chaba jaun
Adil Mansuri