اردو हिंदी
Sitara so gaya hai | Shaahi Shayari
sitara so gaya hai

Nazm

Sitara so gaya hai

Adil Mansuri

;

jism ko KHwahish ki dimak kha rahi hai
nim-wahshi lazzaton ki

TuTti parchhaiyan
aarzu ki aahani diwar se Takra rahi hain

dard ke dariya kinare
ajnabi yaadon ki jal-pariyon ka

mela sa laga hai
an-ginat pighle hue

rangon ki chadar tan gai hai
parbaton ki choTiyon se

reshmi KHushbu ki kirnen phuTti hain
KHwab ki dahliz suni ho gai

dhup ke jangal mein suraj kho gaya hai
baadalon ki maili chadar par

teri aawaz ka
ghail sitara

so gaya hai