ajab faza hai
ajab udasi
ajib wahshat baras rahi hai
ajab hai KHauf-o-hiras har-su
ajib dahshat baras rahi hai
ajab ghuTan hai ajab taffun
main kis jagah kis dayar mein hun
ki jaise maqtal mein aa gaya hun
main qatilon ke hisar mein hun
phaTi phaTi si ye surKH aankhen
sunahre KHwabon ko ro rahi hain
gunah kaise hue hain sarzad
ye kin azabon ko ro rahi hain
ajab tarah ka ye imtihan hai
gham-o-alam ka ye ek jahan hai
lahu se tahrir dastan hai
jarahaton ke jawan sine figar kyun hain
ye bachche buDhe shikar kyun hain
jawan lashon pe bain karti hui ye maen
ghuTi ghuTi si ye siskiyan aur sitam ke maron ki ye sadaen
lahu ka sadqa utarti hain
falak ki jaanib nazar uThae na jaane kis ko pukarti hain
ye be-ghari hai nasib kis ka
ye kaun KHemon mein ro raha hai
mizaj badla hai aasman ne
ki jo na hona tha ho raha hai
sawal karti hai aadamiyat
ye intiha par junun kyun hai
ki aastinon pe qatilon ki
ye be-gunahon ka KHun kyun hai
KHamosh hain ab
lahu ko pani banane wale
haqiqaton ko bhi ek kahani batane wale
sadaqaton ko chhupane wale
unhen batao ki ye raunat nahin rahegi
ye taj sar par nahin rahenge
ye jah-o-hashmat nahin rahegi
sahar ke imkan ho rahe hain
ye shab ye zulmat nahin rahegi

Nazm
Sisakti mazlumiyat ke nam
Tariq Qamar