hua tulua sitaron ki dilkashi le kar
surur aankh mein nazron mein zindagi le kar
KHudi ke hosh uDane ba-sad niyaz aaya
nae pyalon mein sahba-e-be-KHudi le kar
faza-e-dahr mein gata phira wo prit ke git
nashat-KHez-o-sukun-rez bansuri le kar
jahan-e-qalb sarapa gudaz ban hi gaya
har ek zarra mohabbat ka saz ban hi gaya
jamal-o-husn ke kafir nikhaar se khela
riyaz-e-ishq ki rangin bahaar se khela
payambaron ki kabhi rasm ki ada us ne
gwala ban ke kabhi sabza-zar se khela
baha diye kabhi Thokar se prem ke chashme
kabhi jaman kabhi ganga ki dhaar se khela
hansi hansi mein wo dukh dard jhelta hi raha
karishma-baz zamane se khelta hi raha
kya zamane ko mamur apne naghmon se
sikhae ishq ke dastur apne naghmon se
sadaqat aur mohabbat ki us ne di talim
andheriyon mein bhara nur apne naghmon se
latafaton se kiya arz-e-hind ko labrez
kasafaton ko kiya dur apne naghmon se
falak ko yaad hain is ahd-e-pak ki baaten
wo bansuri wo mohabbat ki sanwli raaten
dilon mein rang-e-mohabbat ko ustuwar kiya
sawad-e-hind ko gita se naghma-bar kiya
jo raaz koshish-e-nutq-o-zaban se khul na saka
wo raaz apni nigahon se aashkar kiya
udasiyon ko nai zindagi ata kar di
har ek zarre ko dil de ke be-qarar kiya
jo mashrab us ka na is tarah aam ho jata
jahan se mahw mohabbat ka nam ho jata
Nazm
Siri kirshn
Seemab Akbarabadi