phul ne ishq kiya titli se
aur titli thi ki manDraati rahi
jaane kya soch ke ghabraati rahi
sochte sochte rafta rafta
zanu-e-gul pe magar baiTh gai
jine marne ki bhi khai qasmen
phir uDi lauT ke aai na kabhi
ek din aisa hua
dast-e-gul-chin mein wahi qaid hui
ek sayyaad ki wo said hui
aur phir sainkaDon minnat ke baad
faDfaDati rahi aazad hui
ab to wo bagh mein
jaane se bahut Darti hai
gul pe marti thi
ab bhi marti hai
ek taraf phul hai pazhmurda udas
sirf shabnam se nahin bujhti pyas
Nazm
Sirf shabnam se nahin bujhti pyas
Khursheed Akbar